Sunday, March 14, 2010
Tuesday, March 9, 2010
MAI
MAI
“MAI” kaun hai? “MAI ka vajood kya hai?”MAI ka matlab roop se hai ya rooh se? “MAI” sach hai ya jhooth? Aise savaal aksar mere man may uthte hai, aur jaha tak maine “MAI” ko jana hai, “MAI” ek bahut hi matlabi shabd hai. Yu to MEI ek akshar ek matra aur ek bindu se bana hai, per iska matlab kisi ek ke liye hota hai. Aur jaha tak sach aur jhoot ka svaal hai,mai na sach hai na jhoot, kyu ki jab hum sach ya jhoot bolte hai vo sab hum dusro ke liye bolte hai, “MAI” ke liya koi nahi bolta.Ek baat hai ki, ek insan ke man may “MAI” aata kaha se hai, Jab insan janam leta hai to vo akela hi aata hai aur jab jata hai to akela hi jata hai, isliye uske under “MAI” naam ka shabd panapta hai. “MAI” ek aisa shabd hai jo ek insan ki puri jindgi ke bare may bta sakta hai, per “MAI” khud may itna uljha hua hai ki usko jan’na bahut mushkil hai. “MAI” khud may ek “MAI” hai jo “MAI” ki talaash may, saari jindagi “MAI” ban kar bita deta hai. “MAI” ko pane ke bad hi moksh ki prapti hoti hai kyu ki, “MAI” ko jan’ne ke bad hum prakrti ko samajh jate hai, kyu ki uss samay hum akele hote hai, na hame koi moh hota hai na hi maya. Bas pa’ta hota hai to bas “MAI”…………

Subscribe to:
Posts (Atom)